safar mein haal ghareebon ka kya hua tha suno
rasan thi ek galay us mein baara thay logon
rasan jo khinchti thi bano ye bain karti thi
haye sakina meri bachi haye sakina meri bachi
koi sambhale sahara de aaye behre khuda
koi to haal sune shaah ki yateema ka
ye dekho jakda hai rassi se tashnalab ka gala
hai khauf ye ke na mar jaaye ghamzada dukhiya
haye sakina meri bachi...
gala bandha hai rasan mein rasan jo khinchti hai
to nafz e bali sakina ko jaise dhalti hai
sina pe rangat e wajh e jari badalti hai
aseer bano faqat ro ke itna kehti hai
haye sakina meri bachi...
kabhi hai durre tamache kabhi koi eeza
ani hai naize ki zaalim ki ghurkiyan hai juda
hai imtehan tumhara har imtehan se siwa
koi nahi hai madadgaar bas hai zaat e khuda
haye sakina meri bachi...
ye kamsini ye yateemi ye zulm ke sholay
har ek qadam pe masayab sahe sahe kaise
hazaar baabein tum pe musibat ke khole gaye
khudara koi yateema na aisa din dekhe
haye sakina meri bachi...
suna tha log yateemon ko khoon rulaate hai
jo haath aagaya mauqa to zulm dhaate hai
bina dareegh hi parde sitam giraate hai
hai kitni aap se ulfat ye aazmate hai
haye sakina meri bachi...
saron pe zulm ka saaya hai kya kare maadar
sitam shiyaar zamana hai kya kare maadar
lahoo lahoo tera shaana hai kya kare maadar
jala hua tera kurta hai kya kare maadar
haye sakina meri bachi...
mai teri jaan pe waari muaaf kar dena
shahe zaman ki dulaari muaaf kar dena
hamein hussain ki pyari muaaf kar dena
khatayein jo hai hamari muaaf kar dena
haye sakina meri bachi...
nahi hai ab to bachane ko akbar o shabbir
tamache ahle sitam ke yehi teri taqdeer
koi bhi raasta aata nazar nahi dilgeer
tumhe bachaun kaise karun mai kya tadbeer
haye sakina meri bachi...
ghareeb bachi ko ashk e lahoo rulaya gaya
kata hua sar e ibne ali dikhaya gaya
hai binte shaahe zaman is liye sataya gaya
yateem jaan ke har ek zulm dhaaya gaya
haye sakina meri bachi...
mazaalim e sitam ejaad yunhi sehti rahi
bade thay jis mein usi mein sakin baandhi gayi
qadam ke bal nahi panjo ke bal wo chalti rahi
isi tarha se wo kamsin yateem shaam chali
haye sakina meri bachi...
gala jo jakda rasan mein to boli ye bepar
mohaal lagta hai ab mera jeena ay maadar
jo saans rukne lagi cheekhi maadar e muztar
bachale meri sakina ko khaalik e akbar
haye sakina meri bachi...
bahot hi sakht ye manzil hai dayam o yazdan
safar jo shaam ka tha kis tarha ho uska bayan
gala rasan mein tha bachi ke lab pe aah o fughan
tadap raha tha sar e naizara se shaahe zamaan
haye sakina meri bachi...