Kanz e Aza

Sakina par musibat ki ghadi hai

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), recited by Anjuman e Aon o Mohd. Lyrics in Roman Urdu.

Sakina par musibat ki ghadi hai

har ek lamha hai bachi par musibat

rulaati hai yateemi ki aziyat

tamachon par tamache kha rahi hai


sakina par musibat....


chine hai kaan se yun goshware

tapakte kaan se hai khoon ke khatre

rasan bachi ki gardan may bandhi hai


sakina par musibat ki....


layeen pani bahate hai dikha kar

tadapte hai idhar atfal e sarwar

zaban bhi pyas se sookhi hui hai


sakina par musibat....


tamache maarta hai shumr payham

bachane kaun hai aaye jo is dam

chacha ko yaad karke ro rahi hai


sakina par musibat....


rakha hai tasht may sheh ka kata sar

chadi se zulm karta hai sitamgar

badi hasrat se bachi dekhti hai


sakina par musibat....


chuta jab se shahe wala ka seena

ghadi bhar bhi na so payi sakina

khaza ki godh may ab so rahi hai


sakina par musibat....