Shaam E Gham Shaam E Alam
shaam E Ghareeba Zainab
baad E Ashur Kaha Be Sar O Samaan Zainab
01-koi Batlaata Nahi Baali Sakina Hai Kahaan
dhundti Phirti Hai Maqtal Me Pareshan Zainab
02-jisne Beto Ke Janazoun Pe Kiya Shukr E Khuda
dono Aalam Me Nahi Aisi Koi Maa Zainab
03- Ab Na Akbar Hai Na Qasim Hai Na Abbas E Jari
hai Nigahbaane Haram Shaam E Ghareeba Zainab
04- Bekasi Dekhke Bhai Ki Sare Karbobala
kisse Faryaad Kare Muztar O Hairaan Zainab
05- Bekasi Aur Sakina Ki Judaai Ka Alam
khoon Rulayega Tujhe Shaam Ka Zindaan Zainab
06- Jaane Zahra O Ali Maqsad E Sarwar Ki Ameen
waaris E Deen E Khuda Waaris E Quraan Zainab
07-karbala Aaj Bhi Bhuli Nahi Manzar Wo Fareed
asr E Ashur Wo Maqtal Wo Pareshan Zainab
shaam E Gham Shaam E Alam
shaam E Ghareeba Zainab