soona pada hai dashte bala shaam hogayi
khoon ro rahi hai baad e saba shaam hogayi
apna gala kata ke jo maqtal se sheh chale
suraj chala ye kehta hua shaam hogayi
soona pada hai dashte...
kat'te huwe galay ne kaha hai we waqte asr
lut'te huwe rida ne kaha shaam hogayi
soona pada hai dashte...
lou shamma ki khamosh hui bujh gaye chiraagh
ab kis ko dhoondti hai hawa shaam hogayi
soona pada hai dashte...
sargoshi thi ke cheekh thi sajjad ke liye
zainab ne zer e lab jo kaha shaam hogayi
soona pada hai dashte...
maqtal may hai ke arsh pe hai ay khuda e kul
is waqt tu kahan hai bata shaam hogayi
soona pada hai dashte...
har shamma intezar ki lou kaamp uthi naved
sughra ne jab ye bain kiya shaam hogayi
soona pada hai dashte...