Kanz e Aza

Sheh Na Khanjar Pe

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

sheh na khanjar pe na sheh khastatani par roye

apne qatil ki magar zood hisi par roye


apne zakhmon ko kahan roye kareem ibne kareem

jis kisi ne bhi diya zakhm usi par roye

apne qatil ki magar...

sheh na khanjar pe...


apne pairaahne khasta ka koi gham na kiya

haakim e shaam ki be pairahani par roye

apne qatil ki magar...

sheh na khanjar pe...


mal ke chehre pe khud apne ali asghar ka lahoo

qatil e deen teri dunya talabi par roye

apne qatil ki magar...

sheh na khanjar pe...


dil e akbar ki qasam haye sinaan ibne anas

khaynch kar barchi teri sang dili par roye

apne qatil ki magar...

sheh na khanjar pe...


kar ke matam to kare ghurbat e sheh ka matam

koi roye to hussain ibne ali par roye

apne qatil ki magar...

sheh na khanjar pe...


unki hi nazron se dekha kiye girte unko

jab hussain unki kisi be-adabi par roye

apne qatil ki magar...

sheh na khanjar pe...


teer jisne bhi kahin tola chalane ke liye

kar ke hujjat ko tamam uski kaji par roye

apne qatil ki magar...

sheh na khanjar pe...


apne as'haab se ek shaam utha kar bayyat

ibne marjaana ki bayyat talabi par roye

apne qatil ki magar...

sheh na khanjar pe...


khoon asghar ka baha kar bhi na sambhle jo naved

kyun khuda na be unki be-raah ravi par roye

apne qatil ki magar...

sheh na khanjar pe...