Kanz e Aza

Sheh se Zainab

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Kausar Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

sheh se zainab ne kaha ran ko na jaana bhaiya

aur jaate ho to phir laut ke aana bhaiya


mai isi soch mein hoo kyun kiya aisa tumne

aaj se pehle to mujhse nahi maanga tumne

aaj kyun maang liya kurta purana bhaiya

sheh se zainab ne kaha...


behan ko chor ke jaane ka irada to nahi

aaj maqtal ko basane ka irada to nahi

ye khayal apne kabhi dil mein na laana bhaiya

sheh se zainab ne kaha...


gham muqaddar ne har baar dikhaya ab tak

ran se koi bhi palat kar nahi aaya ab tak

is dukhi dil ko mere ab na dukhana bhaiya

sheh se zainab ne kaha...


khaali rahwaar ko dekhegi sakina kyun kar

wo to bachi hai mai ho jaungi khud bhi muztar

ran se rahwaar pe tum laut ke aana bhaiya

sheh se zainab ne kaha...


mere hote hue tanha na samajhna khud ko

khud ko ghode se jo girta huwa mehsoos karo

behan abbas ki hoo mujhko bulana bhaiya

sheh se zainab ne kaha...


shaam mein jaate hi baba ko sadayein doongi

apne nana ki tarha naade ali pad loongi

baba aajaye to tum mujhko batana bhaiya

sheh se zainab ne kaha...


be-rida koocha o bazaar mein jab aaungi

ghamzada tumko agar paaya to mar jaungi

ashk naize pe bahot tum na bahana bhaiya

sheh se zainab ne kaha...


itna ghamnaak tha ruqsat ka samaa ay kausar

jab behan kehti thi dunya se chale jao agar

jald paas apni behan ko bhi bulana bhaiya

sheh se zainab ne kaha...