Sibte Rasul Ka Gham Momin Ka Aasra Hai
jab Tak Rahe Gi Dunya Ye Gham Ka Silsila Hai
1. Hota Rahega Har Dam Saare Jahaan Me Matam
sadyo Se Khoon Bahake Zinda Hai Aaj Bhi Ham
shabbir Ki Azaa Ka,zinda Ye Maujuza Hai
sibte Rasul Ka Gham Momin Ka Aasra Hai
2.abbas E Bawafa Ka Parcham Uthane Walo
maghmoom Hoke Sar Ko Dar Par Jhukaane Walo
saaya Figan Hamesha,zahra Ki Bhi Dua Hai
sibte Rasul Ka Gham Momin Ka Aasra Hai
3. Nazro Me Hai Hamare Aashur Ki Qayamat
shabbir Ke Liye Thi Har Gaam Par Musibat
deene Khuda Ki Khaatir,qurbaan Ghar Kiya Hai
sibte Rasul Ka Gham Momin Ka Aasra Hai
4. Har Aankh Ro Rahi Hai Shabbir Ki Aza Me
taskeen E Fatima Hai Har Ek Ki Buka Me
aansu Ke Waste Hee,rumal E Sayyada Hai
sibte Rasul Ka Gham Momin Ka Aasra Hai
5.parde Se Aagaya Jab Farzand Fatima Ka
teghe Ali Se Us Din Koi Na Bachsake Ga
zahra Ki Betiyo Par,jisne Sitam Kiya Hai
sibte Rasul Ka Gham Momin Ka Aasra Hai
6. Ham Saahebuz.zamaan Ke Lashkar Ke Hai Sipaahi
apna Lahu Banake Dete Hai Ye Gawaahi
sar Par Kafan Hai Baandhe,seeno Me Hausla Hai
sibte Rasul Ka Gham Momin Ka Aasra Hai
7. Jab Tak Hai Jaan Karenge Rauzou Ki Ham Hifazat
ye Hausla Hamara Dushman Pe Hai Qayamat
maqsad Yazeediyat Ka, Bus Hamko Todna Hai
sibte Rasul Ka Gham Momin Ka Aasra Hai
8.sunlo Jahaan Walo Ham Hai Hussaini Lashkar
maatam Se Paaya Hamne Haatho Me Zor E Haydar
salar Fauj Ka Ye Abbas E Ba Wafa Hai
sibte Rasul Ka Gham Momin Ka Aasra Hai
9. Larzi Zameen E Karbal Khoon Barsa Aasman Se
faryaad Kar Rahi Hai Binte Rasul Roke
pyase Gale Pe Shah Ke,khanjar Wo Jab Chala Hai
sibte Rasul Ka Gham Momin Ka Aasra Hai
10.har Matami Ko Maula Rauza Dikhado Apna
aankhon Me Ashk Honge Lab Par Rahe Ga Nauha
karlo Qubool Dil Se,anwar Ki Ilteja Hai
sibte Rasul Ka Gham Momin Ka Aasra Hai