Ghira hai Chaand Ali ka sitam ke baadal me
Ama nahi'n kahin tegho sina ke jangal me
Hussain jhoom Rahe Hain faras pa maqtal me
Ye rann me Asr ko Zehra ke Lab pa Nouha hai
Sitamgaron Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Har aik zakhme badan khoo'n fishaa'n hai Pyase ka
Laga hai teer jabee'n par to qalb par naiza
Kahin sina tane Majrooh par kahin bhaala
Koi chhuri koi khanjar chalaane wala hai
Sitamgaron Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Wo pyaas hai ke nigaho'n me sab jahaa'n hai dhuwaa'n
Wo qalbme rahi quwat na tann me taabo tawaa'n
Ali ka Lal faras par hai khoon me ghaltaa'n
Ghareeb o Bekas 0 Mazloom besahara hai
Sitamgaron Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Kamar shikasta hai Bhai ke Ghamme Sarwar ki
Utha chuke hain Zaeefi meLaash Akbar ki
Nazar meLaash hai paamaal Ibne Shabbar ki
Abhi to haatho'n pa Asghar ne teer khaya hai
Sitamgaron Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Jo Bosagaahe Muhammad pa tegh chalti hai
To Gham se Khwahare Shabbir Haath malti hai
Gala hai khushk to ruk ruk ke jaa'n nikalti hai
Zameen kaampti hai aasma'n ko larza hai
Sitamgaron Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Pisar ke sog me ji se guzarne waale ko
Ab aur jeene ka arma'n na karne waale ko
Chale hain maarne jallaad marne waale ko
Jise bhi dekhiye Pyaase ke khoo'n ka pyasa hai
Sitamgaron Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Laeen karta hai jab azme qatl Pyaase ka
Pisar ke Halq pa rakh deti hain Gala Zehra
Fiza me Karbobala ki ye goonjti hai sada
Mere Hussain ko Nazo'n se Maine Paala Hai
Sitamgaron Mera Bekas Hussain Pyasa Hai
Nabi ki Godh ka Pala Shaheed Hota Hai
Fiza ko sakta hai Dariya tadap ke rota hai
Balaa ke bann me ye Jaweed hashr barpa hai
Muheet Alam e Imkaa'n Sadaa e Zehra hai
Sitamgaron Mera Bekas Hussain Pyasa Hai