Kanz e Aza

YE NEEND KHAAK PA KAISI UTHO UTHO BIBI

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Ali Jaweed Maqsood and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Pidar jo khwaab me Aaye machal gayi Bachchi

Fazaa-e Qaid Haram ki buka se hilne lagi

Lipat ke Baap ke Sar se jo Margayi Beti

To qaid khane me Banu ki ye Fugha'n goonji


Ye neend khaak pa kaisi UthoUtho Bibi


Fasaana-e Ghame furqat Sunaao Baba ko

Huwa jo baade Shahadat Sunaao Baba ko

Safar ki saari musibat Sunaao Baba ko

Lipat ke Baba se Khamosh mat Raho Bibi


Ye neend khaak pa kaisi UthoUtho Bibi


Bohut gila tha Sakina Tumhe andhere ka

Ye Gham raha hai ke taarik qaid me Kunba

Ye ranj tha koi chehra nazar nahi'n aata

Hamare Ghamzada Chehro'n ko dekhlo Bibi


Ye neend khaak pa kaisi UthoUtho Bibi


Yaqeen tha Tumhe Lene ko Aayenge Baba

Tumhe sukoon huwa Meri lut gayi Duniya

Hamesha Tumne Sunaya hai haale Dil Apna

Ghareeb Maa ke bhi Dil ki to kuch Suno Bibi


Ye neend khaak pa kaisi UthoUtho Bibi


Dukhi Labo'n ki tasalli Tumhari baatein thi'n

Dilo'n ke zakhmo'n ka marham Tumhari baatein thi'n

Hamare Gham ka sahara Tumhari baatein thi'n

Hamare Gham ka sahara na chheen lo Bibi


Ye neend khaak pa kaisi UthoUtho Bibi


Jo aise haal me Dekhe'n Khafa na ho'n Baba

Zara Main saaf to Kardoo'n ye khoon kaano ka

Na Pehne jao Sakina phata huwa kurta

Lahu me doobi ye Zulfein Sawaarlo Bibi


Ye neend khaak pa kaisi UthoUtho Bibi


Main qatl gaah me Asghar ko Aayi hu'n Khokar

Suhag ujad gaya Waris nahi'n raha Sar par

Gharib Maa ka Sahara nahi'n koi Dilbar

Tum is tarah Mujhe tanha na Chhordo Bibi


Ye neend khaak pa kaisi UthoUtho Bibi


Khule huwe dar-e zinda'n hain khatm ranjo mehan

Tamaam Kunbe ke haatho'n se khul gayi hai rasan

Kaha'n gaya Meri Bachchi Tumhara Shaokhe Watan

Rihaayi mil gayi zinda'n se Ghar chalo Bibi


Ye neend khaak pa kaisi UthoUtho Bibi