Kanz e Aza

Soja Soja Hussaina

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Zeeshan Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

jab girne lage jalti zameen par shahe waala

ye kehte huwe zahra ne godhi mein sambhala

kya is liye is maa ne tujhe naazon se paala

maare koi naiza koi khanjar koi bhaala

chehre pe tere kitni thakawat hai meri jaan

ye haal tera dekh nahi paayegi ab maa


mere hussain mere hussain

soja soja soja hussaina

tere liye aayi hai ye maa

aur kitne dega tu ab imtehan


kitna maara gaya hai tujhe meri jaan

haye thak kar abhi tu gira hai yahan

khoon hi khoon hai zakhm hi zakhm hai

kaise tujhko thapak kar sulaye ye maa

ye bata meri jaan haath rakhun kahan

hai tere jism par khanjaron ke nishan

aur kitne dega tu ab imtehan

soja soja soja...


aaya hai meri aaghosh mein tu abhi

raat se hoon yahan par mai baithi hui

apne baalon se jab saaf maqtal kiya

khushboo aayi mujhe jab tere khoon ki

kitna royi ye maa tu ne kaise yahan

marta dekha tha godhi mein kadiyal jawan

aur kitne dega tu ab imtehan

soja soja soja...


meri tarha se hai surkh chehra tera

mera har zakhm wirse mein tujhko mila

haath mujh par uthaya tere saamne

saamne mere tujhko tamacha laga

mat chupa moo yahan jaanti hai ye maa

tere chehre pe hai ungliyon ke nishan

aur kitne dega tu ab imtehan

soja soja soja...


tere maathe pe ek teer jab se laga

has raha hai tujhe dekh kar hurmala

zakhm gehra hai aur khoon rukta nahi

yaad aata hai asghar ka zakhmi gala

ro pada aasman haye wo bezuban

mar gaya tere haathon pe tashna dahan

aur kitne dega tu ab imtehan

soja soja soja...


teer kuch khaynch loon do ijazat agar

jaanti hoon bohat dard hoga magar

tere seene pe itni bana doon jagah

rakh le baali sakina jahan apna sar

teri masoom jaan aayegi jab yahan

tu bata de sulayega usko kahan

aur kitne dega tu ab imtehan

soja soja soja...


pehli baar ay meri jaan aisa hua

khushk hai meri godhi mein tera gala

tap raha hai ye sehra hawa garm hai

jal rahi hai zameen moo khula hai tera

kaise pani yahan laa ke de tujhko maa

phat gaye hont sookhi hai teri zaban

aur kitne dega tu ab imtehan

soja soja soja...


zakhmi haathon se tujhko utha loongi mai

apni chadar mein tujhko chupa loongi mai

ghode daudaye jayenge laashon pe jab

phasliyan tootne se bacha loongi mai

kab ye chaahti hai maa jab ho paamaliyan

meri tarha se tooti teri phasliyan

aur kitne dega tu ab imtehan

soja soja soja...


jis ne aate huwe chooma tera dahan

dekh sattar qadam door hai wo behen

haye pardes mein mar gaya tu agar

kaise degi teri laash ko wo kafan

karti hai wo fughan ay mere bhai jaan

hone waala hai gardan pe khanjar rawan

aur kitne dega tu ab imtehan

soja soja soja...


ay raza aur zeeshan kya waqt tha

shimr ne sheh ki gardan pe khanjar rakha

boli zehra mera ghazi hota agar

ay hussain aaj kat'ta na tera gala

haath hai darmiyan zakhmi hongi yahan

teri gardan se pehle meri ungliyan

aur kitne dega tu ab imtehan

soja soja soja...