Kanz e Aza

Sughra Ko Nahi

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

pardes gaye baba des mein sughra tanha hai

hoo bahoo fatema jaisa hi tha chehra us ka

karbala is liye sughra ko nahi laaye hussain


baap ko dekhegi wo dasht mein kaise pyasa

karbala is liye sughra ko nahi laaye hussain


phir nabi zaadi ko ye din na dikhaye koi

raah mein us ko tamache na lagaye koi

zakhmi haathon se chupaye na wo zakhmi chehra

karbala is liye sughra ko...


aayegi qaimon mein jab laash ali akbar ki

hogi us waqt kaleje mein sina tooti hui

dekh na payegi bhai ka wo zakhmi seena

karbala is liye sughra ko...


sheh ne dekha tha usay baithe huwe jhoole ke paas

apne haathon se banaate huwe asghar ke libaas

khoon mein dooba hua dekhegi wo kaise kurta

karbala is liye sughra ko...


tauq sajjad ki gardan se chudane ke liye

peeche peeche na chali aaye bachane ke liye

taziyana koi maare na samajh kar zahra

karbala is liye sughra ko...


dekh kar is ko tamashayi kahenge has kar

ye to hai fatema zahra usay maaro patthar

meri beti se liya jayega qum ka badla

karbala is liye sughra ko...


sheh ne nana ki lehad chodi thi ye kehte huwe

koi to ho jo mere baad meri jaanib se

aake rauze pe jalaye mere hissay ka diya

karbala is liye sughra ko...


sheh ne zeeshan kaha ek sabab hai ye bhi

bhai ko jaise behan shaam mein manwayegi

ye mera naam madine mein rakhegi zinda

karbala is liye sughra ko...