zehra se haal poochne jab aaye murtaza
ro ro ke fatema ne wasiyat mein ye kaha
mere hassan hussain ko laana abul hassan
tum roz meri qabr pe aana abul hassan
tishna labi mein usko aata nahi hai chain
raaton ko maangta hai pani mera hussain
uth uth ke us ko pani pilaana abul hassan
tum roz meri qabr pe...
mere hassan hussain ko...
khaaya tha jab tamacha tha saamne hassan
rota hai mere gham mein wo mera gul badan
tum usko paas apne bithana abul hassan
tum roz meri qabr pe...
mere hassan hussain ko...
aayega jo mere ghar ban kar dua meri
kurta siya hai uska ek haath se ali
abbas ko ye baat batana abul hassan
tum roz meri qabr pe...
mere hassan hussain ko...
jab betiyon ko meri yaad aaye ya ali
parde mein shab ke haye dekho kabhi kabhi
unko bhi meri qabr pe laana abul hassan
tum roz meri qabr pe...
mere hassan hussain ko...
phir roke boli zahra ay waqt ke imam
tum ko mai haath utha ke kaise karun salaam
uth'ta nahi hai ab mera shaana abul hassan
tum roz meri qabr pe...
mere hassan hussain ko...
jab mujhko ghusl dene aaoge ya ali
kuch aise zakhm hai jo dekhoge us ghadi
bachon se mera haal chupana abul hassan
tum roz meri qabr pe...
mere hassan hussain ko...
mayyat se meri aa ke liptega jab hussain
nazuk bahot hai dekho wo mere dil ka chain
aahista us ko maa se chudana abul hassan
tum roz meri qabr pe...
mere hassan hussain ko...
zeeshan aur raza wo kehti thi ya ali
zehra ka saath tumne choda nahi kabhi
tanhaai mein bhi saath nibhana abul hassan
tum roz meri qabr pe...
mere hassan hussain ko...