waqt e aakhir ye musibat ki ghadi hai baba
baithi ummat hai teri zehra khadi hai baba
kalmagoyon ne kiya hai shaheed mohsin ko
qatl e mohsin se kamar toot chuki hai baba
waqt e aakhir ye musibat...
phasliyan tooti hui aur liye jalta daaman
aise zehra teri darbar gayi hai baba
waqt e aakhir ye musibat...
qasam allah ki mai jhoot nahi bolti hoo
teri siddiqa ye ab bol rahi hai baba
waqt e aakhir ye musibat...
saans leti hoo to takleef mujhe hoti hai
kyun ke har phasli meri toot chuki hai baba
waqt e aakhir ye musibat...
apne rukhsaron ki surkhi ko chupaun kaise
saamne mere meri beti khadi hai baba
waqt e aakhir ye musibat...
mere shabbir ki gardan pe churi thi jo rawan
wo churi haath pe mere bhi chali hai baba
waqt e aakhir ye musibat...
meri turbat pe padhe nauha hassan aur yazdan
sab duaaon may dua unki yehi hai baba
waqt e aakhir ye musibat...