warise chadare tatheer hai binte zehra
baad shabbir ke shabbir hai binte zehra
fatema zehra si surat hai to seerat bhi wohi
zabt ka hausla aur sabr ki himmat bhi wohi
wohi taqwa aur taharat hai ibadat hai wohi
hai wohi lehja andaze khitabat bhi wohi
deen ke unwaan ki taqreer hai binte zehra
warise chadare tatheer…
aaj bohtaan jo rakhte hai nabi zadi par
unhi logon ne kiya jeena nabi ka doo bhar
deen may aaye thay islam ka kalma padkar
aur namoose payambar ko phiraya dar dar
deene islam ki tauqeer hai binte zehra
warise chadare tatheer…
mit gaye aale payambar ko mitane waale
hashr tak zinda hai islam bachane waale
is haqeeqat se hai waqif ye zamane waale
sab se afzal hai mohamed ke gharane waale
is gharane ki ek tasveer hai binte zehra
warise chadare tatheer…
ehteraam unka rahe maahe moharam ki tarha
naam uncha rahe abbas ke parcham ki tarha
ye hamare liye hai sura e maryam ki tarha
apni nazron may hai ye noore mujassam ki tarha
paanch nooron ki ek tanveer hai binte zehra
warise chadare tatheer…
be-rida hoke kiya deen e khuda ka parda
inke kirdaar se hai sharm o haya ka parda
naam zainab ka bana aale iba ka parda
shaam may jaake utha karbobala ka parda
gardane kufr par shamsheer hai binte zehra
warise chadare tatheer…
tauq o zanjeer may jakda hua bemaar chala
noke naiza pe sare sayyede abrar chala
bandh aankhon ko kiye farqe alamdar chala
maa'on behno ko liye khafila salaar chala
tarjumane ghame shabbir hai binte zehra
warise chadare tatheer…