Kanz e Aza

Wavaila Sad Wavaila

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Rafi. Lyrics in Roman Urdu.

wawaila sad wawaila wawaila


shiyon karo tum aah o buka wawaila

qabr mai roti hai zehra wawaila

ahle watan se haal safar

karti hai bayan zainab dukhiya wawaila


maine sahe andoo o alam wawaila

mujhpe huwe hai zulm o sitam wawaila

roo baroo mere shimre layeen ne

bhai ka mere kaata gala wawaila

wawaila sad wawaila...


dhoop mein thay laashe saare wawaila

jaise falak par ho taare wawaila

jalti zameen par tan thay sabhon ke

naize pe sar tha hae sab ka wawaila

wawaila sad wawaila...


qatl huwe jab bhai hussain wawaila

sakht thay hum sab hai bechain wawaila

kehte thay sab bache ro ro kar

haye chacha hai na baba wawaila

wawaila sad wawaila...


tauq pinhaya abid ko wawaila

aur sataaya zaahid ko wawaila

jism mein taap aur paon mein chaale

dil mein gham sab kunbe ka wawaila

wawaila sad wawaila...


chal nahi sakta tha bemaar wawaila

aada se tha wo lachaar wawaila

ro ke wo har dam kehta tha baba

ka utha sar se saaya wawaila

wawaila sad wawaila...


pusht thi zakhmi naizo pe wawaila

khoon ke naale tan se bahe wawaila

likhna rafi ab shaam ki raah mein

zulm jo abid sehta tha wawaila

wawaila sad wawaila...