zehra ki sada hai maqtal mein
lut'ta hai bhara ghar wavaila
abbas e ali ke baazu ko
kaate hai sitamgar wavaila
dunya ke sitam toote us par
qasim na rahe aur na akbar
abbas e dilawar na asghar
shabbir akele hai hyder
sarwar ke galay par hai khanjar
ay saaqiye kausar wavaila
wavaila wavaila...
mashkeeza chida aur pani baha
ek aankh teere zulm laga
behta hai kate shano se lahoo
sar gurz e sitam se chaak hua
aata hai faraz se jaane ali
kyun rakh ke zameen par wavaila
wavaila wavaila...
saahil ke kanare jo pahunche
toota hai falak sheh ke sar par
thay haath kahin mashkeeza kahin
laasha tha jari ka khoon mein tar
laashe pe giray hai bhai ke
shabbir tadap kar wavaila
wavaila wavaila...
doobe hai lahoo mein mashk o alam
aaye hai nehr se shaahe umam
masnad pe rakhe jab mashk o alam
sar peet'te hai ab ahle haram
barpa hai qayam e sarwar mein
ek shorish-e-mehshar wavaila
wavaila wavaila...
momin ye qayamat hai barpa
hai sarfe buka sab aale aba
sarwar ne kaleja thaam liya
jab aake sakina ne poocha
baba mere ammu darya se
aaye na palat kar wavaila
wavaila wavaila...