shamiyon mein ghir gaya hai mehmane karbala
kalma e tauheed ka irfan bayane karbala
imteyaz e haq o baatil daastane karbala
peshwa e ahle emaan kushtagane karbala
shamiyon mein ghir gaya…
teen din se band hai pani nabi ki aal par
kaun hai jo tars khaye bekason ke haal par
khoob mehmani ada ki mezbane karbala
shamiyon mein ghir gaya…
yusufe karbobala hamshakle mehboobe khuda
deen e haq par kar diya apni jawani go fida
khaake seene par sina wo naujawane karbala
shamiyon mein ghir gaya…
kaamp utha arsh e moalla hil gaye qalbe adoo
seena e shabbir mein dil hogaya gham se lahoo
teer khakar has diya jab bezubane karbala
shamiyon mein ghir gaya…
phayr di halqe shahe deen par sitamgar ne churi
peet'ti sar aagayi maidan mein binte ali
tum bhi peeto apne sar ko aashiqan e karbala
shamiyon mein ghir gaya…
kis tarha jhuk jayega wo zore baatil se bhala
baazu e abbas ka jisko sahara mil gaya
hashr tak uncha rahega ab nashane karbala
shamiyon mein ghir gaya…
jal gaye qaime chini chadar bandhe rassi mein haat
ab nahi koi haram ke sar pe juz aabe kizaakh
shaam ko jaata hai lutkar kaarwane karbala
shamiyon mein ghir gaya…
asr ka hamgaam aur wo shaahe deen ki kaarzaar
tha qayamat ka saman jab chal rahi thi zulfiqar
khoon mein tar thay zameen o aasman e karbala
shamiyon mein ghir gaya…
allah allah subhe ashoora wo akbar ki sada
chod kar baatil ka daman jaanibe haq hurr chala
goonji jab momin fizaon mein azane karbala
shamiyon mein ghir gaya…