Sheh ne ro kar kaha alvida alvida
Ab mai ran ko chala alvida alvida
ab koi aan me dekhoge sar mera
hoga tan se juda alvida alvida
Ali akber mera khaake naize ka phal
Naujawaa'n mar gaya alvida alvida
Qasime gulbadan haaye shaadi ke din
Khaake naiza muaa alvida alvida
Byaah ka tha abhi jis pa sehra bandha
wahi sar kat gaya alvida alvida
Haaye kubra bani aaj bewa dulhan
Dulha uska muaa alvida alvida
Kaha sheh ne sakina ko godi me le
Ae meri dilruba alvida alvida
Sar katega mera hoegi tu yateem
ae mere mailaqaa alvida alvida