shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua
jis roz se sheh ka hua
aelaan moharram ka kiya jis din nikal kar chand ne
apna rukh e roshan dikhaya jab badal kar chand ne
us din se hai badla hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
kirne padi jis roz se aa kar ghame shabbir ki
ye baat meri hi tarha auron ne bhi tehreer ki
us din se hai chamka hua hai shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
jab se ghame shabbir ne tujhko chuna apne liye
karbobala waalon ne jab apna liya apne liye
pehle se tu acha hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
dekha gaya jo shaam mein us ghamzada manzar ke baad
jo shaam mein barpa hui us majlis e sarwar ke baad
mohkam aza khana hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
matam yahan shabbir ka jab se kiya hum log ne
parcham jari abbas ka jab se saja hum log ne
jab se tera jalwa hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
shohrat mili izzat mili tehzeeb ki daulat mili
mansab mila manzil mili mabood se azmat mili
sarwar ka yun shayda hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
majlis hui matam hua jo bhi hua acha hua
apna liya har ek ne mere watan ka raasta
mehwar yun is gham ka hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
shehre aza jab se bana us roz se dunya mein tu
hum ne nahi sab ne kaha us roz se dunya mein tu
har aankh ka taara hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
rauze yahan ke deh kar ashkon ne ye mere kaha
sarwar ke ghamkharon ko ye kehte huwe hum ne suna
karbal se hai milta hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
manzar yahan ka koi bhi hargiz bhul sakta nahi
tareef ke alfaaz wo dil mein chupa sakta nahi
jis ka bhi hai dekha hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
do maah se zaaid yahan mehman rehte hai hussain
mere liye aabaad hai apno se kehte hai hussain
hai is liye nikhra hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
din bhar sar e maqtal shahe mazloom ko jo gham mila
baade zameen e karbala baade shahe karbobala
us gham ka paimana hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
js roz se hissa bana sarwar ki tu jageer ka
haasil hua sadqa tujhe jab se ghame shabbir ka
tu saahib e rutba hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
jab jis jagah bhi taaziya shabbir ka rakha gaya
jhool saja kar jis jagah baysheer ka rakha gaya
charcha wahan tera hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
har ek sadi mein shaam se farshe aza bichta raha
phir matam e sarwar yahan hota raha badta raha
hai ye mera parkha hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
dunya mein ek bharat hai jo bhaaya shahe mazloom ko
auron se tu acha nazar aaya shahe mazloom ko
pathar se tab heera hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...
ek baar jo shabbir ne apna kaha yawar to bas
shabbir ke ansaar ne apna liya yawar to bas
is mulk mein aala hua shehr e aza e lucknow
hai sogh mein dooba hua...