Kanz e Aza

Sher e Khuda Ali

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Sher e Khuda Ali

Haye Moula

Fuzto be Rabbil Kaaba

Raab e kaaba ki Qasam aaj Ali kamiyab ho gaya


Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali


Sab ke labo pe nouha hai ya Murtaza Ali

1) Kaisa sitam ye halat e sajda me hogaya

Zalim ne kar diya hai tera sar shigaafta

Ghar mein khuda ke khoon tera behgaya Ali


Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali


2) Itna shadeed waaris e Ka'aba ka zaqm tha

Talwar mein tha zehar tadapte the Murtaza

Haye ye tujh pa kaisa sitam hogaya Ali


Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali


3) Sar maghz tak tha zaqmi wasi e Rasool ka

Fusto be rabb e Ka'aba Ali ki zuba'n pe tha

Hir simt goonjhti hai sada haaye ya Ali


Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali


4) Sar thaam kar musalle pa baithe hain Murtaza

Rumaal sar pe kasstey hain baba ke Mujtaba

Har simt ghul hai roney ka har lab pa ya Ali


Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali


5) Baitus Sharaf ko le ke chale baap ko pisar

Bewa yateem koofe ke sab peethte hain sar

Lab par hai bain hum hue be aasra Ali


Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali


6) kulsoom bain karti hai Zainab tadapti hain

Ummul Baneen khaak udaati hai roti hai

Ghar me tumhare gham se hai mehshar bapa Ali


Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali


7) Koofe ke bekaso'n ka sahara nahi raha

Bacho ke sar pe baap ka saya nahi raha

Baitus Sharaf hai bangaya Matam kada ali


Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali


8) Ab ye dua hai dil me tadap hai yahi shadeed

Pohnche Najaf mein aur padhe nouha tera Rasheed

Shayer ki tere tum se hai ye iltejaa Ali


Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali