Kanz e Aza

Shere Khuda ne

A noha for Imam Ali (a.s), written by Yawar Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

sher e khuda ne sajde mein talwaar khaayi hai

ummat yateem ho gayi ya rab duhaai hai


jab se suni hai naala e jibreel ki sada

be-chain ghar mein fatema zahra ki jaayi hai

sher e khuda ne...


larzan hai aasman zameen ko hai zalzala

afraat e gham se qabre nabi thar tharayi hai

sher e khuda ne...


zakhmon se khoon jaari hai honton se zikre rab

poshak saari khoon mein sar ki nahayi hai

sher e khuda ne...


faryad kar rahi hai janaze pe betiyan

roohe janabe fatema rone ko aayi hai

sher e khuda ne...


islam ki nigaah mein andher hai jahan

zaalim ne shamme qabre payambar bujhayi hai

sher e khuda ne...


faryad kar rahe hai janaze pe mustafa

beton ne apne baap ki mayyat uthaayi hai

sher e khuda ne...


yawar chalo janaze ko kaandhon pe le chalein

shiyon ne ek shabihe janaza banayi hai

sher e khuda ne...