Kanz e Aza

Laila ka Chand

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Yawar Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

laila ka chand doob gaya qatlgaah mein

ab roshni nahi shahe deen ki nigaah mein


akbar ki laash dhoodne nikle hai shaahe deen

har har qadam pe thokarein khaate hai raah mein

laila ka chand...


saqqa e ahlebait ke baazu jo kat gaye

darya lahoo ka beh gaya pyason ki chaah mein

laila ka chand...


aankhon ke aage bhai ka sar tan se kat gaya

zainab pachadein khaati rahi qatlgaah mein

laila ka chand...


ek laash ghar mein laaye to ek laash le gaye

din kat gaya hussain ka faryad o aah mein

laila ka chand...


milta nahi qaraar kisi jaa hussain ko

hai qaimagaah mein to kabhi qatlgaah mein

laila ka chand...


jis dam gulu e asghar e baysheer chid gaya

na jaane kitne teer chube qalbe shaah mein

laila ka chand...