Kanz e Aza

Laila ki Umeedon ka

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

laila ki umeedon ka kya haal hua hoga

jab ghar se jawan beta marne ko chala hoga


laila ne tasavvur mein socha bhi na tha shayad

sar akbar e ghazi ka naize pe chada hoga

laila ki umeedon ka...


athara baras ka sin naize ki ani dil mein

dunya ne sitam aisa dekha na suna hoga

laila ki umeedon ka...


jab dekh rahi hogi laila dar e qaime se

maadar ke kaleje ka kya haal hua hoga

laila ki umeedon ka...


barchi jo lagi dil par awaaz di baba ko

bete ki sada sun kar kya haal hua hoga

laila ki umeedon ka...


andher jahan tha sab nazron mein shahe deen ke

laashe tak shahe waala kis tarha gaya hoga

laila ki umeedon ka...


dekha hai tadapte hai seene pe sina khaake

zaqmi jigar jawaan ka barchi mein laga hoga

laila ki umeedon ka...