jab se hai giraya zaalim ne
mujhpe jalta darwaza
pal pal mai dard se marti hoo
aaram nahi ek lahza
jo zakhm diye hai ummat ne
ta hashr rahenge taaza
hasrat hai raat ke parde may
mera uthe paak janaza
lailatul qadr hoo mera taboot
ya ali raat ko uthana tum
mujhko jis jis ne bhi sataya usay
meri mayyat pe na bulana tum
hai jigar daar hai shaheedon ke
ye kaleje chabane waale hai
mai hoo mazdoor inki nazron se
meri turbat ko bhi chupana tum
lailatul qadr hoo...
mere pehlu ka zakhm gehra hai
mera shabbir seh na payega
dafn ke waqt bhi mera maula
haath pehlu se na hatana tum
lailatul qadr hoo...
mere baazu ke neel dekh chuki
meri chadar se khoon ponch chuki
in masayib se wo bhi guzregi
kuch na zainab se ab chupana tum
lailatul qadr hoo...
jabse zakhmi hui hoo mai maula
wo meri godh may nahi soye
raat ke waqt mere bachon ko
meri turbat may leke aana tum
lailatul qadr hoo...
naam leke mujhe pukara gaya
mere ghar aake mujhko maara gaya
teri amma batool qatl hui
mere abbas ko batana tum
lailatul qadr hoo...
phasliyan tod di hai ummat ne
thak chuki hoo mai zulm sehte huwe
jaa rahi hoo mai paas baba ke
ab wahin mujhse milne aana tum
lailatul qadr hoo...
kuch to imran haq ada hoga
saahib ul asr se karo waada
jaan de dena sar katana magar
haq e zahra ko mat chupana tum
lailatul qadr hoo...