as salam alaika ya mehrooma
as salamalaika ya mazlooma
hasrat hai matamdaron ki
ya mehrooma ya mazlooma
teri qabr pe saaya ho jaye
ho pursa teri turbat pe
aabad baqayya ho jaye
teri qabr ki ghurbat pe bibi
bechain risalat roti hai
hai baap ki turbat saaye mein
aur dhoop mein beti soti hai
din raat jo dard se jalta hai
dil baap ka thanda ho jaye
teri qabr pe saaya...
hasrat hai...
zakhmi hai badan zakhmi hai kafan
ye ajre risalat choda hai
pehle jo shikasta pehlu thi
kyun uski qabr ko toda hai
ab khatm e rasool ke beti pe
ye zulm khudaya ho jaye
teri qabr pe saaya...
hasrat hai...
maqdooma shaam ke qaidi bhi
teri qaid ka matam karte hai
musa kazim aur masooma
din raat ye nauha padte hai
teri qabr pe hai jo muddat se
ab khatm ye pehra ho jaye
teri qabr pe saaya...
hasrat hai...
darwaza jala ek baar magar
sadiyon se turbat jalti hai
tujh par jo shaam e ghariban hai
bujhti hai aur na dhalti hai
tujh par jo shab ashoor ki hai
ab us ka savera ho jaye
teri qabr pe saaya...
hasrat hai...
jis ne bhi tujhe tadpaya hai
ab us pe khaza ka waar chale
har mujrim pe har zaalim pe
tere mehdi ki talwaar chale
sadaat ka ujda ghar ab to
aabad dobara ho jaye
teri qabr pe saaya...
hasrat hai...
qum karbobala mashad ki tarha
tameer tera rauza dekhein
teri zulmat pe girya dekhein
tere rauze pe pursa dekhein
mazloom imam e zamana ka
armaan ye poora ho jaye
teri qabr pe saaya...
hasrat hai...