cheh maah ka mujahid suye maidan chala hai
maa dekh rahi hai
chehra bada nazuk hai badi garm hawa hai
maa dekh rahi hai
zaalim tujhe is baat ka ehsaas nahi hai
cheh maah ka bacha hai ye abbas nahi hai
kamsin ali asghar se tera teer bada hai
maa dekh rahi hai
cheh maah ka mujahid…
ay behan tere saamne baba ke hai halaat
ab shaam e ghariban ko hi hoti hai mulaqat
mud mud ke sakina ki taraf dekh raha hai
maa dekh rahi hai
cheh maah ka mujahid…
hurmal ne qama khaynchi to larzi ye zameen hai
hai saamne qayyam tabhi usko yaqeen hai
parda badi bechaini se qaime ka hata hai
maa dekh rahi hai
cheh maah ka mujahid…
allah mere allah ye duhaai ha duhaai
ummat ne sayyeda ki yun looti hai kamayi
ek behan ne bhai ka lahoo moo pe mala hai
maa dekh rahi hai
cheh maah ka mujahid…
socha tha ke jee legi wo yaadon ke sahare
ummat ne jala daale hai armaan bhi saare
asghar tera jhoola tera kurta bhi jala hai
maa dekh rahi hai
cheh maah ka mujahid…
hai haajira yaqoob o ibrahim ke kham sar
sar chaand se bete ka chada noke sina par
paband e rasan phool si beti ka gala hai
maa dekh rahi hai
cheh maah ka mujahid…
imran mujhe quwwat e tehreer nahi hai
kaise mai likhun teer ke ye teer nahi hai
asghar ki taraf chal padi tezi se qaza hai
maa dekh rahi hai
cheh maah ka mujahid…