maa kehti thi asghar tujhe seene mein chupalun
barsaat hai teeron ki tujhe kaise bachalun
garmi ke hai ayyaam kahin saaya nahi hai
is haal mein kaise mai tujhe ghar se nikalun
maa kehti thi...
kya naara e hal min ki sada ne kiya bechain
tu jaata hai aanchal mai tere sar pe to daalun
maa kehti thi...
aaghosh ko veeran meri kar ke na jao
roothe ho tumhe loriyan de de ke manalun
maa kehti thi...
pani ke liye tum to meri jaan thay beta
tehro zara abbas ko darya se bulalun
maa kehti thi...
ye ahle jafa hai inhe insan na samajhna
kis tarha se mai apne kaleje ko sambhalun
maa kehti thi...
maidan mein gaya jo bhi palat kar nahi aaya
ek baar tujhe aur mai jhoola to jhulalun
maa kehti thi...
kangi karun baalon mein tera kurta badaldun
mai dulha bana kar tujhe armaan nikalun
maa kehti thi...
rehaan ne nauha ali asghar ka likha hai
is nauhe ko farhan mai majlis mein sunalun
maa kehti thi...