milke sab matame shabbir kare
dil ba dil seena ba seena
karbala tameer kare
milke sab matame...
ye matam pehchan hamari
is pe jaan qurban hamari
jism yehi ye jaan hamari
ye matam hai shaan hamari
kehta hai emaan hamara
saare jawan o peer kare
milke sab matame...
asghar teri pyaas ka matam
akbar ka abbas ka matam
hasrat ka aur yaas ka matam
haasil hai ehsaas ka matam
laakh zamana hum ko roke
hum iski tash'heer kare
milke sab matame...
ye matam mazloom ka matam
zehra ke masoom ka matam
pani se mehroom ka matam
taygh tale halqoom ka matam
is matam se hum jo chaahe
waqt ko zanjeer kare
milke sab matame...
abid ki zanjeer ka matam
kushk galay aur teer ka matam
zainab ka shabbir ka matam
dil se kare dilgeer ka matam
jo matam zainab ne kiya tha
hum uski tafseer kare
milke sab matame...
matam kya hai sheh ka alam hai
ye matam to deen ka bharam hai
jis se khushi ho wo ye gham hai
haq ka yehi matam parcham hai
is parcham ko is matam ko
seeno pe tahreer kare
milke sab matame...
matam jis ka darya darya
jiski wafa emaan ka chehra
jiske alam ka khoon mein pharera
doob gaya wo chand na dooba
uski wafa kehti hai hum se
dunya ko tasqeer kare
milke sab matame...
yaad mein teri shaam e ghariban
matam karne waale insan
karte hai jab chaak ghareban
zehra khud hoti hai giryan
sunnate zehra hai ye matam
is ko aalamgeer kare
milke sab matame...
karna saki jo bhai ka gham
us zainab ki yaad mein ab hum
ranj o khushi se kar ke baaham
har din samjhe maahe muharam
zakhme dile zainab ki khaatir
koi dawa akseer kare
milke sab matame...
jinke rassan mein haath bande thay
kaise bhala wo matam karte
unke dilon mein yaad basa ke
nauhe ki matam ki sada se
ehle aza zehra ki dua se
khuld ko jageer kare
milke sab matame...
maula aisa zarf ata kar
ye matam saughaat bana kar
le jaye seeno pe saja kar
shehre najaf mein dil mein basa kar
apni azadari ka tohfa
nazr e khyber-geer kare
milke sab matame...
keh denge rehaan o sarwar
hashr mein jab khatoon e mehshar
poochengi ye baat jo aa kar
chahiye kya matam ki bina par
hum keh denge hum ko ghulame
shabbar o shabbir kare
milke sab matame...