nanhi si jaan jaan se bejaan hogayi
asghar hase to maut bhi hairaan ho gayi
baachon se jiske doodh ki khushboo nahi gayi
be-taygh jisne lashkar e aada se jang ki
jo hurmala ke maut ka saaman ho gayi
asghar hase to...
nanhi si jaan...
saanson ki toot’ti hui dori gawaah hai
nauha jo ban gayi thi wo lori gawaah hai
asghar ki jang fatha ka alaan ho gayi
asghar hase to...
nanhi si jaan...
tashna labi mein teer ko sairaab kar diya
poora dil e hussain ka har khwaab kar diya
tabeer e khwaab marziye yazdan ho gayi
asghar hase to...
nanhi si jaan...
jhoole mein reh ke shauq e shahadat jawan tha
asghar ka shauq maa ke liye imtehan tha
maa shauq pe sagheer ke qurban ho gayi
asghar hase to...
nanhi si jaan...
jo teer ran mein jaanib e quran tha chala
asghar ne pesh kar diya haste huwe gala
is tarha se hifazat e quran ho gayi
asghar hase to...
nanhi si jaan...
nauha likha hai aap ne us bezuban ka
khushnoodi e hussain hai jis nauhe ka sila
bakhshish to yun bhi aap ki rehaan ho gayi
asghar hase to...
nanhi si jaan...