Kanz e Aza

Ruk Nahi Jaana

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

bano ye pukari asghar maa tujhpe hai waari asghar


dekho maqtal may kahin ruk nahi jaana asghar

shaam hote hi meri jaan chale aana asghar


raat bhar khud hi sawara hai meri jaan maine

sadqa jhoole ka utaara hai meri jaan maine

ran may baba ko na tum apne rulaana asghar

shaam hote hi meri jaan...

dekho maqtal may kahin...


maa hoo mai khoob samajhti hoo ishaare tere

lab jo sookhe huwe hai pyaas ke maare tere

pyaas teeron se na tum ran may bujhana asghar

shaam hote hi meri jaan...

dekho maqtal may kahin...


loriyan sun ke bhi kyun neend nahi aati hai

kuch to bolo ke meri jaan chali jaati hai

subho se karte ho pani ka bahana asghar

shaam hote hi meri jaan...

dekho maqtal may kahin...


dekho maidan may barsaat hai paikaano ki

naslein is dasht may milti nahi insano ki

misle akbar kahin dhoka nahi khana asghar

shaam hote hi meri jaan...

dekho maqtal may kahin...


na sawari hai na hathyar sajaye tum ne

phr bhi maqtal ki taraf paaon badhaye tum ne

khud ko garmi ki tapish se hai bachana asghar

shaam hote hi meri jaan...

dekho maqtal may kahin...


teer hai khushk zaban sookhe huwe hont kaman

kaam kuch teer e tabassum se bhi lena meri jaan

saath hai meri duaon ka khazana asghar

shaam hote hi meri jaan...

dekho maqtal may kahin...


teher gardan pe teri naade ali dam kar doo

ghar se maidan talak mushkilein kuch kam kar doo

saamne zulm ke gardan na jhukana asghar

shaam hote hi meri jaan...

dekho maqtal may kahin...


safdar e shaahe umam tum ho rehan e abbas

alqama par bhi hai ghazi ki wafa ka ehsaas

tum shujaat ka alm gaad ke aana asghar

shaam hote hi meri jaan...

dekho maqtal may kahin...