rehaai milgayi zainab abhi yaadon ki qaidi hai
watan to aagayi maa ki lehad par bain karti hai
amanat apne bhai ki pase zindan chod aayi
sakina ab andheri qabr mein kis tarha soti hai
sakina yaad aati hai sakina yaad aati hai
hawaein shaam aati hai to zainab chaunk jaati hai
sakina yaad aati hai
phupi bemaar sughra ko agar pani pilaati hai
sakina yaad aati hai
alam abbas ka dekhe to palkein bheeg jaati hai
ali akbar ke hujre mein kayi yaadein satati hai
kisi bachi ke kaano mein nazar baali jo aati hai
sakina yaad aati hai
hawaein shaam aati hai...
lehad pe maa ki jab dukhda sunane ke liye jaye
aziyat patharon ki aur kabhi zindan yaad aaye
na jaane rote rote kyon har ek gham bhool jaati hai
sakina yaad aati hai
hawaein shaam aati hai...
wuzu karte huye pani ki thandak se larazti hai
falak par abid ab dekhe to shehzadi ye kehti hai
madine mein ye baarish to baras ke dil dukhaati hai
sakina yaad aati hai
hawaein shaam aati hai...
bahot yaadein bahot baatein abhi seene mein baakhi hai
rasan ke daagh durro ke nishan seene mein baakhi hai
tasavvur mein ali asghar ko jab jhoola jhulaati hai
sakina yaad aati hai
hawaein shaam aati hai...
koi zindan ka dar khulne ka khissa bhi na dohraye
kahin aisa na ho gham se meri dhadkan hi ruk jaye
rehaai ki ghadi mein hind jab chaadar udaati hai
sakina yaad aati hai
hawaein shaam aati hai...
kabhi sughra jo seene se lipat kar sone lagti hai
behan abbas e ghazi tadap ke rone lagti hai
kabhi shabbir ka seena kabhi ghurbat rulaati hai
sakina yaad aati hai
hawaein shaam aati hai...
kabhi abid se chupti hai kabhi umme sakina se
palat kar aayi hai jabse rehaai paake zindan se
rehaai paane walon se kahan nazrein milaati hai
sakina yaad aati hai
hawaein shaam aati hai...
nigahein phayr leti hai agar baqar nazar aaye
agar baaton hi baaton mein rasan ka zikr aajaye
to aankhein bandh karke khaak par wo baith jaati hai
sakina yaad aati hai
hawaein shaam aati hai...
na bhooli hai na bhoolegi kabhi bazaar ka manzar
baraste thay aseeron ke saron par jis ghadi pathar
watan aakar bhi ek nanhi lehad khaabon mein aati hai
sakina yaad aati hai
hawaein shaam aati hai...
kabhi rehaan aur rizwan jaana qabre zainab par
nazar aayega tumko dard mein dooba ye ek manzar
musalsal qabre zainab se yehi awaaz aati hai
sakina yaad aati hai
hawaein shaam aati hai...