mila nahi tera seena sakina zinda hai
tamache kha ke bhi baba sakina zinda hai
layeen ne durr ko utaara nahi hai khayncha hai
usay bataiye bhaiya sakina zinda hai
mila nahi tera seena…
wo dekh aayi hai baba ki laash maqtal may
na jaane kaise khudaya sakina zinda hai
mila nahi tera seena…
kate saron ki sada thi ye shaam e ghurbat may
na maar shimr khudaara sakina zinda hai
mila nahi tera seena…
wo noke naiza se asghar ka sar gira dete
kabhi jo dekhna hota sakina zinda hai
mila nahi tera seena…
usay batool se nisbat hai dard sehne may
ke neela hogaya chehra sakina zinda hai
mila nahi tera seena…
hai uske chaaron taraf uske baap ke qaatil
sitam ki bheed may tanha sakina zinda hai
mila nahi tera seena…
wo baar baar usay oonth se girata raha
layeen dekh raha tha sakina zinda hai
mila nahi tera seena…
bazaar e shaam may ghash kha ke jab gira abid
ye sun ke hosh may aaya sakina zinda hai
mila nahi tera seena…
hai siskiyon ki sada ab bhi shaam may ahsen
abhi bhi lagta hai aisa sakina zinda hai
mila nahi tera seena…