sehra ke andhere mein utha shor buka ka
baba baba baba baba
kis jaa pe ho awaaz mujhe dijiye khudara
baba baba baba baba
qaima jala ghar lut gaya
bhaiya mera qaidi bana
phirti hoon bhatakti hui milta nahi laasha
baba baba baba baba
sehra ke andhere...
chadar chini durre lage
balwe mein hai sab sar khule
kaano se mere cheene gohar maara tamacha
baba baba baba baba
sehra ke andhere...
phaila hai maqtal mein dhuaan
pur haal hai yan ka samaan
takraati hoon laashon se dikhayi nahi deta
baba baba baba baba
sehra ke andhere...
ek laash ne awaaz di
phat jaati hai chaati meri
awaaz sar e dasht jo tu deti hai dukhiya
baba baba baba baba
sehra ke andhere...
seene se aa lag jaa mere
be sar hai hum ran mein pade
darya pe na jaana karti hui naala
baba baba baba baba
sehra ke andhere...
kyun aa gayi tu qaime se
ammu tadapte hai tere
sun kar teri faryad ko is dasht mein beta
baba baba baba baba
sehra ke andhere...
nagaah maqtal ki fiza
laayi ye zainab ki sada
kya aayi hai laashe pe dikhane jala kurta
bhaiya bhaiya bhaiya bhaiya
sehra ke andhere...
maajayi ki awaaz par
di sheh ke laashe ne khabar
aahista behan zor se awaaz na dena
bhaiya bhaiya bhaiya bhaiya
sehra ke andhere...
kyun kar anees e gham likhe
maqtal mein hai jo waqaye
zindan ki fizaon mein abhi tak hai ye nauha
baba baba baba baba
sehra ke andhere...