ya rab hussain jaisa koi bewatan na ho
zainab ki tarha koi aseer e mehan na ho
athara bhaiyon ki behen tanha hogayi
barbaad is tarha se kisi ka chaman na ho
ya rab hussain jaisa...
majboor itni hogayi shabbir ki behen
lachaar aisi khalq mein koi behen na ho
ya rab hussain jaisa...
halchal sipaahe shaam mein hai sibte mustafa
ghodon ki zad pe laasha e ibne hassan na ho
ya rab hussain jaisa...
ghusl o kafan na de saki jo apne bhai ko
majboor do jahan mein koi behne na ho
ya rab hussain jaisa...
godhi mein apne baap ki paikan se shaheed
asghar ki tarha doosra ghuncha dahan na ho
ya rab hussain jaisa...
kya is se zyada hogi ghareebi o bekasi
uryan ho laashe aur mayassar kafan na ho
ya rab hussain jaisa...
majlis anees gham ki hai purse ke waaste
nauha wo kya ke dard ka jis mein sukhan na ho
ya rab hussain jaisa...