yun ro rahe hai dekh ke zainab ko murtaza
shayad khayal aaya ho bazaar e shaam ka
zainab ke the ye bain madine chalo hussain
kufa hamare rehne ke qaabil nahi raha
yun ro rahe hai dekh ke...
sajjad bain karte hai dada hai khush naseeb
beton ne mil ke baap ko ghusl o kafan diya
yun ro rahe hai dekh ke...
pehla ye imtehan hai ghazi ke sabr ka
abbas chup hai saamne qaatil hai baap ka
yun ro rahe hai dekh ke...
zainab na ro abhi mujhe aa jayega sukoon
rumaal laa ke baandh do sar par batool ka
yun ro rahe hai dekh ke...
ek bibi chal rahi hai janaze ke saath saath
lagta hai qabr chod ke aayi hai fatema
yun ro rahe hai dekh ke...
maula kyun khaak aap ne daali hai zakhm par
kya yaad agayi hai musalle pe karbala
yun ro rahe hai dekh ke...
darbar e shaam jaaunga zainab mai tere saath
akbar ye keh ke hogaye khamosh murtaza
yun ro rahe hai dekh ke...