Kanz e Aza

Zainab Giri Hai

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

zainab giri hai naaqe se abbas ki tarha


haathon ka girte waqt sahara liye bina

zainab giri hai naaqe se abbas ki tarha


baazu bandhe huwe hai dilafgaar kya kare

koi nahi hai bekas o lachaar kya kare

na mehramon ka majma hai aur sar bhi hai khula

zainab giri hai naaqe se...


naaqe ki wo buland wo unchayi al amaan

taqdeer kis maqam pe le aayi al amaan

beti ali o fatema zehra ki mehlaqa

zainab giri hai naaqe se...


bhai behan mein thi wo mohabat na poochiye

bandhwa diye hai haath jo bhai ke kat gaye

sar par laga jo gurz to zainab hai be rida

zainab giri hai naaqe se...


haye haye sitam wo ho gaya ek nazneen par

naaqe se moo ke bal giri aakar zameen par

tharra raha tha arsh larazti thi karbala

zainab giri hai naaqe se...


ab kaun hai jo aan ke dharas bandhayega

jalti hui zameen se aa kar uthayega

abbas hai na qasim o akbar sa mehlaqa

zainab giri hai naaqe se...


jakda hua hai bedi mein ye abid e hazeen

baba ki laash dekh ke mar jaye na kahin

dekha junhi mareez ka chehra bujha hua

zainab giri hai naaqe se...


ay bibi sayyeda zara tashreef laaiye

beti ko apni godh mein aa kar uthaiye

jalti hui zameen pe bicha dijiye rida

zainab giri hai naaqe se...


lafzon mein ainee kaise musibat likhe koi

aamir wo rassiyon se kalayi bandhi hui

girte hue zaban pe ali ya ali hi tha

zainab giri hai naaqe se...