Beto'n ko jisne Bhai pa qurbaan kar diya
Laashe jab Aaye Shukr ka Sajda Adaa kiya
Aisa muzahira kabhi dekha na sabr ka
Sarwar ki Ghamgusaar jaha'n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha'n se guzar gayi
Baazu the reesma'n me bandhe baddua na ki
BhaiBhatije qatl huwe baddua na ki
Ahle haram ke khaime jale baddua na ki
Bhai ki Ja'nNisaar jahan se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha'n se guzar gayi
Ho kar aseer koocha 0 bazaar me gayi
Kunbe ko leke majlis e ghadaar me gayi
Sar nange jo yazeed ke darbaar me gayi
Mehzoon-oDil figaar jaha'n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha'n se guzar gayi
Khutba Ali ke Lehje me jis ne suna diya
Darbaar ko yazeed ke jis ne hila diya
Tha haq pa kaun jis ne jaha'n ko bataaa diya
Haq baino Hag Sheyaar jaha'n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha'n se guzar gayi
Ham Shakl-e Mustafa ka jo Maatam na kar saki
Abbase BaWafa ka jo Maatam na kar saki
Mazloom e Karbala ka jo Maatam na kar saki
Kunbe ki sogwaar jaha'n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha'n se guzar gayi
Thi Haidari jalaal ki tasweer shaam me
Ki Maqsade Hussain ki Tash'heer shaam me
Rakhi Binaaye Majlise Shabbir shaam me
Maatam ki zimmedaar jaha'n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha'n se guzar gayi
Zaalim ne belche se Jise kar diya Shaheed
Kaise kahu'n jo Uspa mazaalim huwe Shadeed
Dil kaampta ha zapt ka yara nahi'n Saeed
Zehra ki Yaadgaar jaha'n se guzar gayi
Zainab jigar figaar jaha'n se guzar gayi