jibreel khabar gham ki falak se laaye
zainab ke ujadne ke zamane aaye
gham door nahi karbobala ka meri bibi
aane ko hai ek daur jafa ka meri bibi
aate hai chaaron taraf dard ke saaye
zainab ke ujadne ke zamane aaye
jibreel khabar gham ki...
baba ke bichad jaane se darr lagne laga hai
amma ki judaai se ye gham aur bada hai
zainab ko yehi sadma bahot khoon rulaaye
zainab ke ujadne ke zamane aaye
jibreel khabar gham ki...
kaabe ke sada aati hai kya zulm hua hai
jo roohe ibadat hai wo tar khoon may pada hai
afsos hidayat ke sutoon aaj giraye
zainab ke ujadne ke zamane aaye
jibreel khabar gham ki...
abbas ke honton ki hasi maand padi hai
kulsoom bani yaas ki tasveer khadi hai
chaaye hai dar e zehra pe aalaam ke saaye
zainab ke ujadne ke zamane aaye
jibreel khabar gham ki...
hai girya kuna arsh pe khatoon e qayamat
aayi hai mere bachon pe ek aur musibat
kaabe ko hila deti hai hasnain ki aahein
zainab ke ujadne ke zamane aaye
jibreel khabar gham ki...
gham se abu talib ka phata jaata hai seena
aata hai nazar khoon may dooba hua beta
ye zulm hi aisa hai falak ashk bahaye
zainab ke ujadne ke zamane aaye
jibreel khabar gham ki...
safdar ye buka karte thay hsanian tadap kar
kufe may koi nahi koi nadeem ay ghame hyder
zainab se kaho farshe aza ghar may bichaye
zainab ke ujadne ke zamane aaye
jibreel khabar gham ki...