haye bazaar e shaam jaa kar
zainab ko ghazi yaad aaya
aankhon se khoon jaari
sar pe rida nahi thi
zakhmi haram ke dil thay
koi dawa nahi thi
jab durre lagay badan par
zainab ko ghazi...
sadaat pa ba-rehna
kaaton bhare thay raste
rote thay jab ye qaidi
be-dard log haste
jab dekhi sina pe chadar
zainab ko ghazi...
hamsheer royi us par
taqdeer royi us par
bemaar jab bhi roya
zanjeer royi us par
galiyon pe barse pathar
zainab ko ghazi...
jo malkaye haya thi
raahon mein berida thi
ye soch kar hii zainab
bas mehwe marsiya thi
shireen ke ghar mein jaa kar
zainab ko ghazi...
is se badi qayamat
kya aur hogi logon
abid ne apne sar ko
kyun na uthaya socho
wo kehta tha bas ye ro kar
zainab ko ghazi...
abba ki behen par
ek aisa waqt aaya
darbar mein sitam ke
shimr e layeen pukara
hai kaun sheh ki khwahar
zainab ko ghazi...
nikli thi jab wo ghar se
manzar wo yaad aaya
nazrein jhukao logon
abbas ne kaha tha
ab shaam mein khule sar
zainab ko ghazi...
athara bhaiyon ki
hamsheer aur khule sar
ay logon taras khao
zainab ko dedo chadar
fizza jo boli ro kar
zainab ko ghazi...
darbaar mein gayi thi
ek roz fatema bhi
lekin rida thi sar par
beton se thi tassalli
yaad aaya usay ye manzar
zainab ko ghazi...
guzri jo bibiyon par
kya shadman sunaye
mazhar mera kaleja
sadmon se phat na jaaye
bas roko qalam ye keh kar
zainab ko ghazi...