Kanz e Aza

Zainab Zainab

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

qaimon mein alam aaya alamdar na aaya

shabbir ne zainab ko yehi nauha sunaya


darya pe maara gaya tera alamdar zainab

zainab zainab zainab zainab zainab zainab


tooti hai meri kamar lut gayi sarkar zainab

darya pe maara gaya tera alamdar zainab


haathon mein kooza liye baithe hai pyase

hai sab ko aas zainab us bawafa se

moo hum se mod gaya ghurbat mein chod gaya

dil mera kehta hai ab jeena hai bekaar zainab

zainab zainab zainab...

darya pe maara gaya...


kehti thi meri bacchi aayega pani

usko suna do zainab gham ki kahani

maara gaya saqqa kunba raha pyasa

pyason pe hogaya qurban wo salaar zainab

zainab zainab zainab...

darya pe maara gaya...


mashke sakina chidi kat gaye shaane

kaise zameen par aaya allah hi jaane

gurz tha sar pe laga aankh mein teer bhi tha

uthna chaaha to na uth paaya wo jarrar zainab

zainab zainab zainab...

darya pe maara gaya...


darya pe jab mai pahuncha laasha uthane

ki thi mujhse wasiyat us bawafa ne

laasha qaimon mein mera aaqa le kar na jaana

ye keh ke chod gaya mujhko wafadar zainab

zainab zainab zainab...

darya pe maara gaya...


mujhpe chalega khanjar qaime jalenge

chadar chinegi teri baazu bandhenge

sab ka ghamkhwar hoga mera bemaar hoga

ab tak abbas tha ab tu hi hai salaar zainab

zainab zainab zainab...

darya pe maara gaya...


maula ka nauha tha ye farhan o mazhar

farshe aza bichao ay meri khwahar

aao ab zer e alam barpa kare matam

hum hai us bawafa ke pehle azadar zainab

zainab zainab zainab...

darya pe maara gaya...