Kanz e Aza

Zehra ki Betiyon

A noha for Darbaar e Shaam, written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

haye haye haye

zahra ki betiyon ka safar haye haye haye


naize pe hai hussain ka sar haye haye haye

zahra ki betiyon ka safar haye haye haye


jis ne diya hijaab usi ghar ki betiyan

bazaar e shaam aayi hai karti hui fughan

kaanton pe kar rahi hai safar haye haye haye

zahra ki betiyon ka safar...


meri kaneez dekh na le mujhko berida

sajjad se ye zainab e dilgeer ne kaha

aaya khareeb shireen ka ghar haye haye haye

zahra ki betiyon ka safar...


ek hashr sa bapa hai dil e soghwaar mein

zainab kise bulaye bhala is dayaar mein

baba hai na bhai na pisar haye haye haye

zahra ki betiyon ka safar...


barsaat patharon ki hai aale rasool par

haste hai shaam waale aseeron ko dekh kar

karti hai shaahzadi agar haye haye haye

zahra ki betiyon ka safar...


kitne sukoon se hum ne kiya tay ye raasta

zainab ne tees ghanton mein tay ye safar kiya

beparda thaame qalb o jigar haye haye haye

zahra ki betiyon ka safar...


ay waqt ke imam ye pursa kare qubool

hai maadare hussain yahan aap aur rasool

karte hai saare jinn o bashar haye haye haye

zahra ki betiyon ka safar...


hamraah shadman ke pahuncha jo khafela

bazaare shaam dekh ke yaad aaya bakhuda

ay mazhar abdi wo safar haye haye haye

zahra ki betiyon ka safar...