Kanz e Aza

Aagayi Zainab

A noha for Darbaar e Shaam, written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

haye bazaar e shaam


aagayi zainab khule sar shaam ke bazaar mein

raah mein khayegi pathar jayegi darbar mein


tik ke baithe honge abid haye jis deewar se

bad gayi hogi daraarein haye us deewar mein

aagayi zainab khule sar...


ay khuda e lam yazal ye teri aankhein to nahi

kiski aankhein ro rahi hai deeda e khoon baar mein

aagayi zainab khule sar...


waaris e kul ambiya ki is liye waaris hai tu

jalwa e tauheed hai zainab tere asraar mein

aagayi zainab khule sar...


baade qatle shaahe waala ek zamane par khula

himmat e zainab thi shaamil shaah ke inkaar mein

aagayi zainab khule sar...


sab thay raazi sar katane par bajuz sajjad ke

jaane kya mushkil chupi thi tauq ke aazaar mein

aagayi zainab khule sar...


sar ba-sajda haibat e musa sawali hai jahan

kaun si haibat khuda jaane hai us bemaar mein

aagayi zainab khule sar...


jis kadhay mein baaqi hai sajjad ke girye ki dhaar

is khadar tezi kahan hogi kisi talwaar mein

aagayi zainab khule sar...


baade qatle shaahe deen ye waqt ruk jaata naved

haye abid gar na hote waqt ki raftaar mein

aagayi zainab khule sar...