Kanz e Aza

Ay Ali Teri Tanhaiyan

A noha for Imam Ali (a.s), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

aaj tak koi samjha kahan

ay ali teri tanhaiyan

bas faqat hai teri raazdan

ay ali teri tanhaiyan


jagmagati na tauheed mein

gar simat'ti na tauheed mein

aakhirash phir simat'ti kahan

ay ali teri tanhaiyan...


poochti hai salooni yehi

hai koi ilm kash hai koi

haye koi nahi tha wahan

ay ali teri tanhaiyan...


kaisa koi salam o kalam

jab nahi hai jawab e salam

uff ye tauqeer e ilm al-amaan

ay ali teri tanhaiyan...


ro rahi hai jo shaam o sahar

fatema teri tanhaai par

fatema par hai girya kuna

ay ali teri tanhaiyan...


kis ko yaara kare guftagu

goongti hai yahan sirf hoo

bolti hai khuda ki zaban

ay ali teri tanhaiyan...


ibtida inteha kibriya

ambiya aulia ausiya

sab hai chup bolti hai jahan

ay ali teri tanhaiyan...


dam ba dam pae ba pae jaa baja

keh rahi hai ye kun ki sada

kaadh leti hai khud se jahan

ay ali teri tanhaiyan...


zaat e shahid mein mash'hood mein

yan wajood aur maujood mein

kam se kam hai fasl e kamaan

ay ali teri tanhaiyan...


husn ki deed ki ain tak

jalwa e qaaba qausain tak

haan bas ek parda e darmiyan

ay ali teri tanhaiyan...