Kanz e Aza

Baap ki Tarha

A noha for Imam Ali (a.s), written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

ekeeswi ki subha qayamat ka tha samaa

thar'ra raha tha chand larazta tha aasman

baitus sharaf may baithe thay sab log neem jaan

hyder ne baari baari har ek par nigah ki

zainab ko junhi dekha to ek sard aah ki

beti ko dekh dekh ke rone lage ali

sarwar ka haath thaam ke kehne lage ali


baap ki tarha kaleje se lagana beta

phir meri laash se zainab ko chudana beta


betiyan baap se manoos bahot hoti hai

choti choti si musibat pe bahot roti hai

zakhm sar ka meri zainab se chupana beta

baap ki tarha kaleje se...


bain ehsaan yateemi se kare ghabrakar

laash par meri jo gir jaye pachade kha kar

kar ke dam nade ali usko uthana beta

baap ki tarha kaleje se...


haye ye darr hai mujhe jaan ko khote khote

meri bachi kahin mar jaye na rote rote

chup ke zainab se kafan mujhko udhana beta

baap ki tarha kaleje se...


karwan amn ka sab zulm o sitam lootenge

meri bachi pe bahot ranj o alam tootenge

har musibat se mere baad bachana beta

baap ki tarha kaleje se...


laash par meri to jee bhar ke abhi rolegi

par teri laash pe ye laakhon sitam jhelegi

naaz saare meri zainab ke uthana beta

baap ki tarha kaleje se...


phir ye kehne lage aankon se baha kar aansu

choom lena meri jaanib se behan ke baazu

jis ghadi marne ko maidan may jaana beta

baap ki tarha kaleje se...


chain se raaton ko zainab na kabhi soyegi

mere veeran musalle pe bahot royegi

kar ke talqeen usay aas bandhana beta

baap ki tarha kaleje se...


sabr wo meri judaai pe na kar payegi

mujhko jo qabr may dekhegi to mar jayegi

saath may usko janaze may na laana beta

baap ki tarha kaleje se...


ainee khamoosh huwe maula shahadat paayi

utha taboot jo aamir to sada ye aayi

mujhpe jo guzri musibat na batana beta

baap ki tarha kaleje se...