kisi ka ran mein muqaddar bigad gaya jaago
nabi ki beti ka ghar bhar ujad gaya jaago
ajal ki neend se tum ko jagane aaye hai
utho utho ke ghame shaah manane aaye hai
tumhi ne bakhshi hai hum sab ko ye wafadari
tumhi se paayi hai hum ne ye taziyadari
sunani karbobala ki sunane aaye hai
utho utho ke ghame shaah manane aaye hai
ajal ki neend se...
ay sogware shaheedan salaam ho tum par
mazaare shehr e khamoshan salaam ho tum par
tumhari qabron ko jannat banaane aaye hai
utho utho ke ghame shaah manane aaye hai
ajal ki neend se...
suno hussain pe krbobala mein kya guzri
jawan laal ke seene mein gad gayi barchi
tumhare saath hum aansu bahane aaye hai
utho utho ke ghame shaah manane aaye hai
ajal ki neend se...
bahot hussain pe aansu bahaye hai tum ne
masayebe dile zehra sunaye hai tum ne
sunaani aaj magar hum sunane aaye hai
utho utho ke ghame shaah manane aaye hai
ajal ki neend se...
wo jis ka ho gaya barbaad ghar ka ghar saara
jise layeeno ne jangal mein ghayr kar maara
usi ki farshe aza hum bichane aaye hai
utho utho ke ghame shaah manane aaye hai
ajal ki neend se...
wo jis ke haathon pe sheshmaaha mar gaya hae hae
galay ko cheer ke naawak guzar gaya hae hae
usi sagheer ka nauha sunaane aaye hai
utho utho ke ghame shaah manane aaye hai
ajal ki neend se...
ek aur aag atash ne lagayi darya par
shaheed ho gaya sarwar ka bhai darya par
usi diler ka parcham uthaane aaye hai
utho utho ke ghame shaah manane aaye hai
ajal ki neend se...
tumhari roohon ko allah shadman rakhe
har ek qabr mein jannat ka gulsitan rakhe
lehad pe ashkon se shamma jalane aaye hai
utho utho ke ghame shaah manane aaye hai
ajal ki neend se...
kahin bhi dunya mein honge zaroor aayege
tumhari qabron pe farshe aza bichayenge
jo dil ka haal hai tumko batane aaye hai
utho utho ke ghame shaah manane aaye hai
ajal ki neend se...
yahan pe fateha aamir bhi aake padta hai
sawab nauhe ka ainee ne tumko bakhsha hai
lehad pe phool aza ke chadhane aaye hai
utho utho ke ghame shaah manane aaye hai
ajal ki neend se...