zakhmon se choor hoke jo quran gir gaya
ro'o saron ko peeto qayamat hui bapa
naiza sambhale daaye se ibne anas bada
baayi taraf se maarne ibne ashas chala
dono ne waar shaah pe jo ek saath kar diya
phasli mein jaake naize mein naiza ulajh gaya
ibne anas ne chaaha ke naiza nikaale
shabbir chaahte thay ke khud ko sambhale
is kashma kash mein phasliyan baahar nikal padi
roti bilakti qabr se zehra nikal padi
girte huwe zameen pe ye shabbir ne kaha
bismillah wabillah wala millate rasoolillah
ghode se gir ke baithe hi thay sibte mustafa
ek teer san sanata hua teen bhaal ka
seene mein aake shaahe shaheedan ke gad gaya
haathon se usko kheench ke shabbir ne kaha
bismillah wabillah...
sadme hazaar hone lage naazneen par
patthar kisi ne khaynch ke maara jabeen par
teora ke aah gir pade maula zameen par
girte hi teer jism mein chubne lage siwa
bismillah wabillah...
zakhmon se choor choor hoon yawar nahi raha
akbar nahi raha mera asghar nahi raha
chautees saal waala baradar nahi raha
ab kya karunga jee ke bhara ghar nahi raha
bismillah wabillah...
tha khoon mein joshe faatahe khyber ki al amaan
uth kar khade huwe kabhi baithe shahe zamaan
naiza jigar se khayncha to kheenchi kabhi sina
phir leke khoon haath mein bole shahe huda
bismillah wabillah...
chullu ka khoon phaynka jo hi aasman par
sakta sa taari hogaya saare jahan par
laakhon layeen tooth pade ek jaan par
aandhi chali larazne lagi arze karbala
bismillah wabillah...
khanjar liye wo haath mein shimr e layeen badha
sarwar ne sar ko sajda e khaaliq mein rakh diya
subhana rabbi aala wo mabood hai mera
khanjar chala to shaah ne besaakta kaha
bismillah wabillah...
khanjar chalaya pyase pe ek baara martaba
pehli jo zarb khaayi kaha wa mohammada
aur doosri pe kehne lage haye murtuza
deen e nabi pe hota hai ab khaatma mera
bismillah wabillah...
phir teesri pe tadpe kaha amma fatema
chauti lagi to kehne lage bhai mujtaba
phir uske baad sheh ne kisi se na kuch kaha
sookhi hui ragon se ye aati rahi sada
bismillah wabillah...
aamir ali ka laal wo zehra ka dil ka chain
ainee lahoo mein lot'te thay shaahe mashraqain
chalti rahi churi aur ye kehte rahe hussain
kat'te huwe galay se ye aati rahi sada
abbas abbas abbas abbas