naiza seene se nikaalne ki jo baari aayi
shaah par haye musibat bhi ye bhaari aayi
arsh se farsh pe nabiyon ki sawari aayi
roti sar peet'ti ahmed ki dulaari aayi
aasteen ulte huwe shaah e huda baithe thay
haath kaandhe pe dhare sher e khuda kehte thay
khaynch le seene se barchi ki ani bismillah
ya aba abdillah
bismillah ya aba abdillah
ro ke kehte the ye bete se ali bismillah
ya aba abdillah
ek mehshar hai malayak mein sabhi rote hai
tere pehlu mein rasool e arabi rote hai
daad dete hai ibrahim nabi
bismillah ya aba abdillah
bismillah ya aba abdillah
khaynch le seene se...
tu mera laal hai ye sab ko bata de beta
baap ke khoon ki taaseer dikha de beta
haath larze na tera mere jari
bismillah ya aba abdillah
bismillah ya aba abdillah
khaynch le seene se...
ay mere laal akela tu nahi jangal mein
ambiya auliya hai bhai hassan maqtal mein
teri maa fatema zahra hai khadi
bismillah ya aba abdillah
bismillah ya aba abdillah
khaynch le seene se...
waada tifli ka kiya tha jo ada kar beta
ro le akbar ko kaleje se laga kar beta
thaam le seene ko padh naad e ali
bismillah ya aba abdillah
bismillah ya aba abdillah
khaynch le seene se...
sher zakhmi hai ye jangal mein pada dekh na le
naiza akbar ke kaleje mein gada dekh na le
roti sar peet'ti zainab hai chali
bismillah ya aba abdillah
bismillah ya aba abdillah
khaynch le seene se...
laashe ghar bhar ke hai kaandhe pe uthaye tu ne
shaane abbas ke seene se lagaye tu ne
imtihan aur ye khanjar ka sahi
bismillah ya aba abdillah
bismillah ya aba abdillah
khaynch le seene se...
ay mere laal na kar dayr taqaddum waladi
warna ho jayega andhayr taqaddum waladi
jald aasaan ho mushkil ki ghadi
bismillah ya aba abdillah
bismillah ya aba abdillah
khaynch le seene se...
mujhko maloom hai dunya se safar karta hai
saamne aankhon ke ek laal jawan marta hai
hoti hai seene mein takleef badi
bismillah ya aba abdillah
bismillah ya aba abdillah
khaynch le seene se...
naiza seene se junhi sheh ne nikala aamir
ho gaya sab ka kaleja to ho baala aamir
aini kehta raha wo rab ka wali
bismillah ya aba abdillah
bismillah ya aba abdillah
khaynch le seene se...