Kanz e Aza

Bole Akbar Jo Watan

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

bole akbar jo watan laut ke jaana amma

meri roothi hui sughra ko manana amma


mere qadmon ke nishanon pe rakhe hogi wo sar

us se kehna nahi aayega kabhi ab akbar

ghar ki dehleez se tum us ko uthana amma

meri roothi hui...

bole akbar jo...


marne se pehle galay mil liya akbar sab se

kaash ek baar mai seene se laga leta usay

meri jaanib se usay seene lagana amma

meri roothi hui...

bole akbar jo...


pooche asghar ka to keh dena humakta tha bahot

naam lete thay tumhara to wo hasta tha bahot

ghutniyo chalne laga tha wo batana amma

meri roothi hui...

bole akbar jo...


is rida se usay aa jayegi khushboo meri

ye mera khoon hai sunte hi wo mar jayegi

meri sughra se rida apni chupana amma

meri roothi hui...

bole akbar jo...


gar wo pooche ke mere bhai ko kaise maara

kehna bas ho gaya allah ko pyara sughra

mujhko maari thi sina ye na batana amma

meri roothi hui...

bole akbar jo...


us se kehna ke wo naraaz na ho ammu se

wo to khud naam mitaate huwe uska roye

chaahte thay wo usay saath may laana amma

meri roothi hui...

bole akbar jo...


wo hai beemar na kar payegi meelon ka safar

bas wahin baith ke ro le wo mujhe shaam o sahar

ek nishan qabr ka aangan may banana amma

meri roothi hui...

bole akbar jo...


khat e sughra meri mayyat pe sunana aise

jaise talqeen padha karte hai bilkul waise

dono haathon se mera shaana hilaana amma

meri roothi hui...

bole akbar jo...


mir sajjad ye tha aakhri akbar ka bayan

jab madine may tumhe aayegi awaaz e azaan

chup ke sughra se kahin aansu bahana amma

meri roothi hui...

bole akbar jo...