charaghe chehrae akbar na ghul ho ye dua hai
lahoo aankhon se laila ki musalsal beh raha hai
ba zaahir zakhm to hai seena e akbar may lekin
haqeeqat may wo naiza seena e sheh may gada hai
charaghe chehrae akbar...
salaam akbar ka laaya sheh ke balon may safedi
gayi beenayi aankhon may andhera cha gaya hai
charaghe chehrae akbar...
ulatkar aasteen ya ali kehte hai sarwar
ke barchi khayncha qalbe pisar se maujeza hai
charaghe chehrae akbar...
phuphi aajaye na maqtal may shaahe deen ke peeche
sakht akbar ke liye ye marhala hai
charaghe chehrae akbar...
rache shadi jo akbar ki to mujhko yaad rakhna
madine se kisi bemaar ne khat may likha hai
charaghe chehrae akbar...
ali akbar ki shahid aakhri ruqsat ka manzar
bhare ghar se janaza jaise koi jaa raha hai
charaghe chehrae akbar...