Kanz e Aza

Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Behan Zainab

Yeh RokarKehta Hain Zainab Say Mola


Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla


Meri Behna Meri Aankhon Nay Dekha


Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla


Mai Girtay Girtay Jab Lashay Pa Poncha

Mera Noor e Nazar Ghash May Pada tha .. x 2

Mai Usko Apnay Seenay Say Lagayaa


Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla


Behan Zainab Meri Ankhon Nay Dekha

Jigar Kay Dard se Shiddath Say Uska .. x 2

Musalsal Haath Rati Par Patakna


Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla


Sina Seenay Say Jab Mainay Nikali

Jawa’ ne Aediyaa'nReti Pa Ŕagdi .. x 2

Nikal Kar Aaya Seenay Say Kalejaa


Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla


Mili You Khaak May Uski Jawaani

Tadapta Jatata tha KehKeh Kay Paani .. x 2

Mai Pyaasa Usko Paani Deh Na Payaa


Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla


Har Ek Hich ki Pay Rukh jati thi Saansay

Meray Akbar Ke Phir jaatoi thi Aankhay .. x 2

Lahoo moo say Nikal Ta Jarahatha


Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla


Kaha Phir Sheh Nay Zainab Say Tadpkar

Bhula Na Paoungaa Behna Wo Manzar .. x 2

Labo'n Paŕ Saanso Ka ruk ruk ke Aana


Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla


Mai Kehta Jata tha Har Baar Rokar

MujheAwaaz Do Aai Meray Dilbar .. x 2

Meray Haaton Pay Manka Dhal Chuka tha


Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla


Meray Dil Ko Behan Rahath Nahi Hai

Mujhe Jeenay ki Ab Hasrath Nahi Hai .. x 2

Mai baad E Marg Nana Śay Kahunga


Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla


Zamee Par Baith Kar Parwaaz Sarwar

Bohat tadpe Bohath Roye Ye Kehkar .. x 2

Ye Sun kay Jee Nahi dPaayegi Laila


Dam e Akbar Badi Mushkil Say Nikla